Lazy Guy

By faizanahmad

Inside the wall

kisi mausam ka jhonka tha
jo is deewar par latki huyi tasveer tirchhi kar gaya hai
gaye saawan mein ye deewarein seeli nahin thi
na jaane kyun is dafa in mein seelan aa gayi hai, daraarein pad gayi hain
aur seelan is tarah behti hai jaise khushk rukhsar par gile aansu chalte hain

ye baarish gungunati thi ... isi chhat ki munderon par
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par ungli se likh jaati thi sandeshein
bilakhti huyi si baithi rehti hai ab band roshandaron ke picche


dopaharein aisi lagti hain .. bina moharon ke khali khaane rakhein hain
Na koi khelne wala hai baazi na koi chaal chalta hai
Na din hota hai ab na raat hoti hai ... sabhi kuch ruk gaya haiw
woh kya mausam ka jhonka tha jo is deewar par latki tasveer ko tirchhi kar gaya hai

(Poetry by Gulzar)

P.S. Not feeling like translating the poem now. Maybe some other time.

Comments
Sign in or get an account to comment.